Heart Speech
Heart Speech :- Part-I Date - 28-Oct-2015
Har wakt kisi ke aane ki aahat si rahti haiTeri khushbu is aagan ko mahkati rahti hai
Door kahi andhera ho to tu ujala bankar rahti hai
"Mere man man mandir me tu hamesha deepak si jalti rahti hai"
Har vishvas ki dor par tu kasme khati rahti hai
Har manzil par tu mujhko aaena dikhati rahti hai
Mere sapno ko tu smet kar tu hasne ki bate karti hai
"Mere man man mandir me tu hamesha deepak si jalti rahti hai" .
Us musaphir ka mujhe pta nhi jo mujhse aakar takra gya.
Tere liye kuch karne ka mujhme himmat juta gya.
Ab mene bhi vakt ko apni or mod liya
Teri khushiyo ke khatir apne sapno ko bhi chod diya
Ab door nhi ab vo din jab tune mujhse ye kha
"Mere man man mandir me tu hamesha deepak sa jalta rah gya"
Es wakt ke mijaj ko es mosam ke ruhan ko kismat ne esa mod diya.
Mere dil ke us rujhan ko mere sapno ki us udan ko tune pal bhar me jhakjhor diya
Ab kudrat ka ye rang mujhe bemana sa lagne lga
Lagta hai ab es deepak ke bhujhne ka smay so gya-2
Lekin tu aaj bhi tu mere man mandir me deepak si jalti rahi hai
Teri yado ke sahre meri jindgi chalti rahti hai
![]() |
Mr.Gupta |
"Mere man man mandir me tu hamesha deepak si jalti rahti hai" -2
Kuch wakt unhe mila kuch wakt hme mila
Yaado ke sahare jeeven ko katne ka faisla rard kiya.
Kismat ki meharbani ne mere pyar ki us khani ne us chark (wakt) ko rok diya
kuch wakt ke liye sma bandh gya...........
HAPPY ENDING
Mere bhujhte hue deepak ko tune apne hatho se rok liya-2Un bato ko tune bhulaker tune mandir me deepak jla diya
Ab ye deepak do nhi ek huye esa tune wakt ko jta diya
Ab dono ne milkar ye kha
Mere man mandir tu hamesha deepak si jalti rahti hai
Mere mandir me tu hamesa deepak sa jalta rahta hai ...........................................to be continue .
Ye poem mene 22-june -sunday 2014 ko likhi thi.
Meri poem padhne ke liye shukriya mujhe aasha hai ki ye aapko
Jaroor pasand aayi hogi . Ye is poem ka phla part hai part1.
Part -2 me jald hi post karunga.
Thanks for Reading .
Aapka Writer
Mr. gupta (sky)
Comments
Post a Comment